Monday, February 2, 2015

Rizk ki tarakki ke liye

Har masale ka behtareen hal namaz hai. Namaz ki pabandi ke sath agar ap kuch or wird karna chahe to "Ya Basitu Ya Razzaq" ka chalte firte jab mauka lage padhe. "Bismillah" padh kar kaam ko start karen. "Astagfar" kasarat se padhen Inshallah Rizq me barkat hogi.
Dua ki darkhwast!

Husband-Wife Relation

Agar miyan biwi ke bich rishte ache nahi hain to miyan ya biwi me se koi aik 2 rakat namaz hajat padh kar 1000 martaba "YA MAAINU" padh kar allah se ro ro ke dua karen inshallah masala hal hoga.Har wazaif ke baad awwal akhir 11-11 martaba darood zarur padhen.
Yaad rakhen har masale ka bahatareen hal namaz hai. Namazo ki paband bane or "Astagfar" kasrat se padhen.
Fayeda hone par meharbani karke apna experiance humse zarur share karen.
Duao ki darkhwast!

Saturday, January 24, 2015

Amil-E-Ilm

Kuch amaliyat yha pesh kiye jayege lekin unko karne se pehle ijazat lena zaruri hai or jayez maqsad ke liye hi kiye ja skte hain. Agar bina ijazat ya najayez maqsad ke liye ap karte hain to zabardast nuqsan hone me koi shuba nahi. So be careful